Tuesday, October 28, 2008

Baba g our nimaz

Baba Fareed aur Namaaz ka Qissa
Kehate hain ke Baba Fareed jab ek chhote bachche they to Khel kood mein mashgool rehate thae.. MaaN ko laga ab baRe ho rahe hain to Khuda kii taraf dil judna chaahiye ... namaaz paRhni chaahiye unhe bhi .. Baba Fareed ko kaha ko samjhaaya ke din mein kam az kam do waqt ki namaaz paRhna shuru karien ... Fajr kii aur Isha Kii .. Saat baras kii nanhi umar ..Bachpan ke bholepan mein Baba Fareed MaaN se poochhtey hain ke 'MaaN mein namaaz to paRh loon par badle mein Khuda mujhe kya dega .." MaaN ne bhi saadigi se jawaab de diya ke Khuda khush hokar KhajoorieN dega.. Mithaayi dega .. GuR(Jaggery) dega.. Sun kar chhote se Fareed khuch ho gaye .. namaaZ paRhne ka waqt aaya .. maaN ne namaaz ke pehale hii jai-namaaZ(mussallah) ke neeche khajoor rakh dien .. Fareed jii ne namaaz paRh kar musallah uthaaya to dekhte hain ke neeche KhajoorieN paRi hai.. bohot khush huye ke ye to naqad saudaa hai .. idher namaaz paRhi ..udher khajoorien(dates) mil gayien ..Ab roz ka kaam ho gaya .. idher namaaz paRhne ka waqt hota udher maaN Fareed Ji ke musalle ke neeche kabhi mithaayi .. kabhi GuR .. kabhi khajoorien rakh detieN .. Fareed ji namaaz parhte ..musallah uthate aur koi na koi meethi saugaat unhe mil jaati .. din ba din unkaa khuda par aietbaar badtaa gaya ...Ek din honi ko kuchh aur hii manzoor tha .. maaN Ghar ke kaamoN mein masroof Fareed Ji ke musalle ke neeche saugaat rakhna bhool gayi .. magar woh din alag hii tha.. uskii saugaat bhi alag hii thi...Fareed Ji ne namaaz khatam kii ... magar aaj unkii namaaz mein ras kuchh aur hi tha .. aaj unka dil us Allah se bandh gaya tha .. roz namaaz parhte they ... magar aaj Allah se milaap ka jo sukh unhe mila tha.. jo shiriniyat mili thi woh pehale kabhi nahi... Fareed Ji ka dil bhar aaya .. aankhon se aansoo behane lage ... ke itna sukh .. itni khushi .. jaane is chhotii sii umar mein Allah ne unhe kitni baRi saugaat se nawaaza tha ....MaaN ko achanak khayaal aaya ke aaj to Fareed ke musaalle ke neeche mithaayi khujoor kuchh nahi rakhi .. daudi daudi aayien to dekha Fareed ji ki aankhon se paani beh raha hai ... unhe laga pata nahi ab Fareeda namaaz parhe ya na parhe .. kahiN iska aietbaar to nahi toot gaya .. jaldi jaldi rasoiighar(kitchen) ja kar ek tashtari(plate) mein mithaayi khajoor le aayien..aur Fareed ji ko behlaane lagien ke aaj Allah jaldi mein they .. to mujhe keh gaye they ke mein tumhe aaj kii saugaat de doon ...Khushi kii aah nikaal gayi Fareed Ji ke mooNh se... ashkbaar aankhon se maaN ko kehate hain ke maaN aaj hii to Allah ne khud apne aap saugaat di hai mujhe.. aaj tak to woh tumhaare haathOn mithaayi kii saugaat bhejte they mujhe .. magar aaj to apne aap apne milan ke ras se nawaaza hai .. apni mohabbat kii saugaat di hai mujhe ...

No comments: